Mirza Ghalib shayari in hindi || Ghalib Ghazal || List of Famous Ghazal of Ghalib - मिर्ज़ा ग़ालिब की गज़ल - MyAlfaaz

Latest

MyAlfaaz - The Library of Quotes.

Wednesday, December 2, 2020

Mirza Ghalib shayari in hindi || Ghalib Ghazal || List of Famous Ghazal of Ghalib - मिर्ज़ा ग़ालिब की गज़ल

Mirza Ghalib shayari in hindi || Ghalib Ghazal ||  List of Famous Ghazal of Ghalib - मिर्ज़ा ग़ालिब  की गज़ल


 Mirza Ghalib (मिर्ज़ा ग़ालिब)

मिर्ज़ा ग़ालिब का पूरा नाम : - मिर्ज़ा असद - उल्लाह बेग ख़ां उर्फ़ "ग़ालिब" था,

जीवन परिचय 

मिर्ज़ा ग़ालिब का जीवन परिचय :- 

मिर्ज़ा ग़ालिब का जन्म आगरा में हुआ, 

उनके दादा का नाम मिर्ज़ा क़ोबान बेग खान जिनके दो पुत्र और तीन पुत्रीयां थी 

ग़ालिब के पिता का नाम  मिर्ज़ा अब्दुल्ला बेग खानचाचा का नाम मिर्ज़ा नसरुल्ला बेग खान, बचपन में ही उनके पिता और चाचा का देहांत हो गया था,


List of Famous Ghazal of Ghalib

aah ko chāhiye ik umr asar hote tak :-

Mirza Ghalib shayari in hindi || Ghalib Ghazal ||  List of Famous Ghazal of Ghalib - मिर्ज़ा ग़ालिब  की गज़ल


aah ko chāhiye ik umr asar hote tak 

kaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak 


dām-e-har-mauj meñ hai halqa-e-sad-kām-e-nahañg 

dekheñ kyā guzre hai qatre pe guhar hote tak 


āshiqī sabr-talab aur tamannā betāb 

dil kā kyā rañg karūñ ḳhūn-e-jigar hote tak 


tā-qayāmat shab-e-furqat meñ guzar jā.egī umr 

saat din ham pe bhī bhārī haiñ sahar hote tak 


ham ne maanā ki taġhāful na karoge lekin 

ḳhaak ho jā.eñge ham tum ko ḳhabar hote tak 


partav-e-ḳhur se hai shabnam ko fanā kī ta.alīm 

maiñ bhī huuñ ek ināyat kī nazar hote tak 


yak nazar besh nahīñ fursat-e-hastī ġhāfil 

garmī-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak 


ġham-e-hastī kā 'asad' kis se ho juz marg ilaaj 

sham.a har rañg meñ jaltī hai sahar hote tak 


SOURCE :

Deewan-e-Ghalib Kamil

1 comment: